Raja Akbar Moula Akbar
Hai Husn ka tu Shahensha Akbar
Husn Hi Husn tha wo kitna haseen manzar tha
Ghar mein jab shah ke moulood hua akbar ka
Badke abbas ne aagosh mein Akbar ko liya
Roob aakhon mein nazar aaya toh khush hoke kaha
Dekhna dusra abbas banega akbar
Aj k din se hi shagird hai mera akbar
Husn waale teri chaukhat se adaye'n lenge
Chand taare teri khud aake balaye lenge
Tu alag sabse juda
Tujhpe yousuf bhi fida
Husn mein koi nahi hai tere jaisa akbar
Dekh khaaliq ne tujhe itni mohabbat di hai
Apne mehboob ki mehboob ne surat di hai
Jo hai nabiyon ka nabi
Uska chehra hai tu hi
Jiska khaliq ne banaya nahi saaya akbar
Aayi zainab toh ye gaazi ne kaha shehzaadi
Agaya apka akbar meri aaqa zaadi
Badhke akbar ki taraf
Boli'n miljaye sharaf
Apne haatho se sajaou tera sehra akbar
Maa ke aagosh mein jis waqt sidhara beta
Maa ye boli mera dilbar mera pyara beta
Jisne godi mein liya
Sabne ek naam diya
Umme laila ne kaha husn ke raja akbar
Phir gale milke ye shabbir se gaazi ne kaha
Mere aaqa ho mubarak ye khushi ka lamha
Ye sipaahi hai mera
Bar sare karbobala
Mere lashkar k liye aagya mera akbar
Jo bhi baba ne bataya tha banaounga ise
Jis tarha mujhko sajaya tha sajaounga ise
Kaise talwaar chalate hai sikhaounga ise
Dekhna dusra abbas banaounga ise
Ran mein dushman jo nazar aayega rakhdega use
Ek hi waar se maidaan mei patakdega use
Saamne uske koi jab bhi chala aayega
Uski talwaar k hamle ko na seh paayega
Kyu mai akbar k khareeb aagya pashtaayega
Seedha duniya se wo do-zakh mein chala jaayega
Hoga finnar wilayat ka jo munkir hoga
Wo toh hargiz na bachega jo muqassir hoga
Naam akbar ka zaruri hai azanon k liye
Eid hai meesum o zeeshan jawano k liye
11 shaban ka din
Zikr e abbas k bin
Ab ali waalon ko lagta hai adhura akbar