ne mohra baaqī ne mohra-bāzī
jiitā hai 'rūmī' haarā hai 'rāzī'
dil hai musalmāñ merā na terā
tū bhī namāzī maiñ bhī namāzī
maiñ jāntā huuñ anjām us kā
jis mārke meñ mullā hoñ ġhāzī
turkī bhī shīrīñ taazī bhī shīrīñ
harf-e-mohabbat turkī na taazī
raushan hai jām-e-jamshed ab tak
shāhī nahīñ hai ba-shīsha-bāzī
tū zindagī hai pā.endagī hai
baaqī hai jo kuchh sab ḳhāk-bāzī