Hasbi Rabbi Jallallah
Mafi Qalbi Ghair ullah
Noor e Muhammad Sallallah
La ilaha illallah
حَسْبِیْ رَبِّی جَلَّ اللّٰہ
مَا فِی قَلْبِی غَیْرُ اللّٰہ
نُورِ مُحَمَّدْ صَلَّی اللّٰہ
لَا اِلٰہَ اِلَّا اللّٰہ
Tere Sadqe main Aaqa
Saare jahaa(n) ko deen mila
Be-deeno(n) ne kalma parha
La ilaha illallah
Simt e Nabi Bu-Jehal gaya
Aaqa se usne ye kaha
Gar ho Nabi batlaao zara
Meri muthi mai hai kya
Aaqa ka farmaan hua
Aur Fazl e Rahman hua
Muthi se kankar bola
La ilaha illallah
Dunya ke insaan sabhi
Shirk o bid’at kartay thay
Rab ke thay banday phir bhi
But ki ibadat kartay thay
But khaney sab tharraye
Mere Nabi hain jab aaye
Kehnelagi makhlooq e khuda
La ilaha illallah
Apni behen se bole Umar
Ye to bata kya karti thi
Mere aane se pehle
Kya chupke chupke parhti thi
Behen ne jab Quran parha
Sun ke kalaam e paak e khuda
Dil ye umar ka bol utha
La ilaha illallah
Wo jo Bilal e Habshi hain
Sarwar e dee(n) ka pyara hai
Dunya kay har aashiq ki
Aankho(n) ka wo taara hai
Zulm hue kitne un par
Seenay pay rakha pathar
Phir bhi zubaa(n) pay jaari tha
La ilaha illallah
Mere Nabi ke ghulamoo(n) ka
Rutba bara hai shaan bari
Chaahe Ghous e Azam ho(n)
Ya ho(n) Data Hajveri
Yaad nahi tumhe wo manzar
Khuwaja ne jab khud chalkar
Nawwe (90) laakh ko parhwaya
La ilaha illallah
Mere maula mere khuda
Tu hi khaliq e arz o samaa
Tu hi maalik e roz e jazaa
Main hoo(n) saraapa jurm o khata
Phir bhi tujh se hai ye dua
Waqt e naz’a jab aaye mera
Lab pe bas ho aik sadaa
La ilaha illallah